Tuesday, 10 December 2013

Reiki in Urdu

aj main apko Reiki ki hisrory btaon ga...
Hum jab bhi bimar partay hain seedha doctors kay pas bhagtay hain aur doctors ki di hoi medicines khatay hain aur theek hojatay hain, magar kabhi aap nay ghor kia kay zamana e qadeem main log bari bari bimarion ka kis tarah ilaj kartay thay?
Aap jab Ancient Egypt ki history parhain gay to aap ko
malum paray ga kay os dor main log bimari ko bori rooh
ka asar mantay thay, means kay jab koi bimar hota iska
matlab kay koi bori rooh oskay jism main dakhil hogai
jis ki waja say woh bimar hoa aur log os patient ko priest
kay pas lay jatay aur woh priest mantar parhtay hoay patient
kay jism par hath phayrta aur patient ki sari bimari ko
dor kar dayta tha.
Africa kay jungles main aaj bhi aysay jangli kabilay hain
jahan koi bimar hota hai to yeh tasawar kia jata hai kay
bori rooh ki waja say bimar hoa hai aur iska ilaj bhi mantar
parhtay hoay patient kay jism par hath phayr kar ilaj kia
jata hai aur bari bari bimaria isi tarikay say dor hojati
hain.


Aap nay aksar sona hoga kay aysa patient jis ki bimari ko
doctors dor na kar sakay woh bimari kisi pir ya kisi darwaysh Allah walay shaks nay patient kay jism par hath phayr kar jhar phonk ki aur patient ko bilkol theek kardia jisay doctor ya medical science heal na kar saki.
Aap aak bar phir ghor karain kay kis tarah Ancient egyptian
priests aur African jungles kay jangli priets aur humaray
Pir ya Allah walay log kis tarah patient kay jism par hath
phayr kay theek kar daytay hain,
jab hum in par ghor karain ghay to humay aak qadeem ilm kay baray main pata chalay gha, aak ahsa ilm jo bari bari hastio kay pas tha, aysa ilm jo onhonay sirf apnay tak he mehdod rakha, kisi ko bhi is ka raaz na bataya, baray baray is ilm kay ostad is ilm kay raaz ko apnay seenay main liay dafan hogay aur is ilm kay raaz ko raz rakha.

Friends! is qadeem poshida ilm kay baray mai, is ilm ko aaj is modern dor main "REIKI" kehtay hain.Reiki aak japanese word hai, Rei ka matlab universal aur ki ka matlab spirit, energy ya life force hai, is ilm ka japanese word Reiki isliay bana kuon kay is qadeem poshida ilm ko khojnay wala aak japanese shaks Dr.Usui tha, aur aaj is ilm ko jo taraqi mili hai aur hum tak yeh ilm pohancha hai sub Usui ki madad say mila hai, Usui nay is qadeem ilm main kuch nai techniques dal kay science kay darjay tak pohanchaya

coments zoor dain plz

No comments:

Post a Comment