AMIL OR HAMZAD
Amil or hamzad ke darmian amal ke waqt ek muqbla ki fiza hoti he, hamzad cahhta he ke amil ka amal poora na hony pay or amil ki koshish hoti he ke amal ko kamyabi se mukammal kar le, yad rakhiy insan hamzad se afzal he or ziada qawwi he, hamzad insan se kamzor he tabhi to hamzad amil ke amal ki quwat se zahir hony pe majboor hota he agar woh qawwi hota to samny na ata, amal ki quwat se woh majbbor hota he ghulami pe,, isliy jab bhi hamzad samny ay us se khof na khaya jay.
har shakhs ka hamzad ek jesa hota he uski fitrat amal ke mutabiq tashkil pati he, baz amliat me hamzad dara ke khushi mehsoos karta he baz amliat me tang kar ke khushi mehsoos karta he or baz me taklif day ke ya bimar kar ke, yad rakhiy amal ke doran amil ko hamzad nuqsan nahi day sakta qk amil us waqt ek baht ba quwat hasti hoti he, magar sirf us waqt tak jab tak ap amal chor ke uth nahi jaty, agar ap khof kha ke amal chor kar uth jaty hain to ap ek am admi ho jaty hain or apka amal khatam ho jata he, ap hisar karain ya na karain doran e amal hamzad apka kuch bhi nahi bigaar sakta qk agar us me ye quwat hoti to ap amal khatm karny ke bad jab hisar se bahr aty tab bhi woh nuqsan panhchta, magar haqiqat ye he ke amal ke pehly din se akhir din tak hamzad apky amal ke zer e assar hota he or usy ap ke hisar se gharz nahi hoti, hisaar mehz itmin e qalb keliy he, hamzad ke amal me mot bhi waqia ho sakti he, maslan agar koi admi khof kha ke pagal ho jay ya dil ki dharkan ruk jay, jesy kahawat he ke insan sanp ke zehr se nahi uskay khof se marta he wesay hi amal e hamzad me logo ko hamzad nahi khof mar deta he, or me batata chaloon ke jitny bhi makoos ayaat ke amliat hain un me agar ap khof kha ke hisar chor dety hain to hamzad apky amal ki quwat se azd hoty hi aksar apko nuqsan deta he, koi bhi zehni ya jismani nuqsan, is qism ke amliat me amal ke asar ki waja se hamzad ki ye fitrat ho jati he tabhi is qism ke amliat se maskhar kia gaya hamzad tabahi or barbaadi ke kaam khushi se sar anjam deta he, koi bhi amal ho jab tak ap amal me khof ya dhoka kha ke uth na jain apka koi kuch nahi bigaar sakta, magar khof kha ke amal chorny ki soorat me hisar bhi apko bacha nahi sakta. ye post likhny ka maqsad ye wazeh karna tha ke doran e amal hisar apki itni hifazat nahi karta jitni ke apka amal qk hisar to sirf doran e amal tak hota he bad ke oqat me koi nuqsan kiu nahi panhchta? uski waja ap ky amal k quwat he jis ke agay hamzad bebas ho ke ghulami pe majboor hota he. kabhi or kisi soorat me bhi hamzad jism e kasif ko halak nahi karta lihaza amal e hamzad ke karny se pehly dhyan rakha jay ke ap kis qism ka amal kar rahy hain qurani amliat sab se mehfooz hain jabke sifli or shetani amliat me nuqsan ho skta he.
Ap badni hisar ko kabhi bhi circle waly hisar se kam samjhny ki ghalti na karain qk hisar jo bhi ho hifazat us hisar ke kalmat se hoti he mehz circle laga leny se nahin, agar ap ahadis ka mutalia karain to ap pe roz e roshan ki tarah ayyaan ho jay ga ke sirf Ayat al Kursi 11 bar parh leny se koi chiz bhi apko nuqsan nahi day sakti, circle waly hisaar ka mahez ye faida he ke jo bhi tamasha hota he woh hisar se bahar hota he, or badni hisar circle waly hisar se isliy behtar he ke agar ap khof kha ke amal chor bhi dain to ap hisar me hi hoty hain lekin circle laga ke ap ye tay kar lety hain ke mera hisar is circle tak he me is se bahar nahi jaun ga or jab jaty hain to nuqsan bhi uthaty hain, donon ke fawaid byan kar diy jis sahb ko jo acha lagy woh kary magar ek bar phir clear kar doon ke circle nahi hifazat karta balke ayat e qurani maslan ayat al kursi ke parh leny se Allah ke frishty hifazat karty hain or unky agay koi mawarai quwat nahi theher sakti circle laga ke ap khood apny hisaar ko mehdood kar lety hain

No comments:
Post a Comment