MARAQBA YA MEDITATION:
Maraqbay say murad hay appne demaghee quwatto ko kisi ik kiyal per mazkoor kerna. Yane '' Yaak Khayaali'' key zehni kefiyat ka hasool he maraqbay may kamyaabi key alammat hay. Or Agar Maraqba zikker e Ellahi kay leyay keya jayee to bohat azmaat o muqaam ka baiss banta hay.
Jessay kay Surah-e-Muzammil key Ayaat number 8 may hay:
Terummaja: Or zikker kero appnay raab kay naam ka or essi kay ho raho sab say kaat ker pori terha.(al-quran)
Mahireen-e-aloom-e-roohaniyat kay mutabiq
''or ussi kay ho rahoo saab say kat ker pori terha''
say muraad maraqbay key kefiyyat hay.Marqbay key Tay'yaari:
1- Chiragg:
Kamray may bijjli key light off ker dai'n or sursoo ya zaitoon kay teel ka chiragg jala e yay. Ya sofeed moam battiya roshan kejyay.
2- Khusbbu:
Appnay siya'ray key munnasbat say Bakhoorat (khushbu) roshan keray ya agaar aam aggar battiya mojjod hoon to wo jala lai'n, ya khushbudaar phool pass rakh e yay.
3- Awwazay:
Kamray may kissi kisam key awaazay (telephone, ghanti, loggo ka bolna) na ayee. Albatta qudratti mahool key awazaay ( parinddo ya panni kay jhurnay key awazay) accha assar dalti hain.Marqbay ka Aghaaz:
1- Baad uz namaaz e fajjar ya baad uz nammaz e isha sonay say qaball alti palti maar ker beth ja e yay.
2- Saab say pehlay appnay zehan ko saab khayaalat say paak kejeyay. Aam toar per loag '' kaseer khayali'' (too much thoughts) key hallat may hotay hay, Yani
ik he waqat may bohaat say khayalat ka shikkar hotay hay. Abb ik ik ker kay tammam khyallat ko saaf kertay ja e yay. takay app ka zehan ''La Khiyyal''(jessa kay koara kagaaz) key halaat ikhtiyaar ker jayay. Agar app ko mushkill paish ayay to app ik paani ka piyalla appnay samnnay rakh e yay or jo khayaal bhe app kay zehaan may ayay ussay tasaw-wur( imaginary hands) kay hathoo say pakkar ker paani kay piyalay may daltay jay e yay or is terha kuch he dair may app ka zehaan koray kaggaz (page) key terha saaf suthra ho ja e ga. Abb app nechay deyay gayee tareeka number 3 ya 4 may say kisi ik tarekay per amaal ker saktay
hain.
3- Abb kuch na keray or kuch na sochay. Kuch he dair kay baad koi na koi nazzara khud ba khud demaagh key screen per nazaar anna shurru ho ja e ga, ya undrooni awaazay annay lagay gee. Yay allamaat or awaazay der assal appke rooh say uthtee hai'n or in key maddad say bohat say inkishaf-aat (hidden things) kay baray may bhe maloom keya jaa sakta hay.
4- Ya app pehlay say tay shudda makhsoos khayaal ( Zikker-e-Ellahi, zeyaart-e-muqaam-e-muqadissa,Tassawur-e-mehboob-e- haqeeqi ya mijjazi wageera) ko khud per taari keraay or yeah khayaal-e-wahid appko '' yaak Khayali'' key zehni keffiyaat per lay jayay ga.
Rozana 20 minutes kernay say juld he app ko Maraqbay may kamyabbi honay lagay gee.Makhsoos kiyal kay zeryay ''Yaak Khayyali'' key ik miss-al:
Tassawur key quwwat say appnay jissam say bahir niklay or hawwa may buland hoon or najjaf key terf perwaaz keray or roza-e-shah-e-najjaf (Hazrat Ali Alayhay Salam) kay qareeb uttray. Abb Azzan e dakhool perh ker Roza ke under dakhil hoon. Baad az takmeel zeyaarat o dua bahir aie yay. Or dobara perwaaz kertay howay wappis appnay jissam kay paas pohanchay. Abb jissam may dakhil hoon or ankhain khool de jee yay. Abb uth e yay or rooz merra kay kammo may laag ja e yay
No comments:
Post a Comment