Wednesday, 18 December 2013


Hamzad Amliat

HAMZAD KIA HAi..


Bahot se hazrat Hamzad ko abhi tak sahi tarah se nahin samjh pay woh hamzad ko jinaat se mumasil samjhty hain, ke hamzad or jin me bas nam or kam ka farq hy jabke dar haqiqat ye qudrat ki do mukhtalif takhliq hain or jin or Hamzad me bahot farq he. mujhay is silsilay me kafi email mosool huin jin se me ne in abhaam ka andaza lagaya or socha ke is pehloo pe bhi guftugu ki jay. main pehly bhi bayan kar chuka ke jinaat ki takhliq aag se hui or hamzad rooh he or rooh kesay peda ki gai ye koi nahi janta. Allah ne hazrat Adam A.S me apni taraf se rooh phoonki or ye Allah ke hukm se he, iskay ilawa hamein Allah ne rooh ki pedaish ke mutaliq nahin bataya, or koi nahin janta ke rooh ki takhliq kesay hiu, how the soul was created. Ab Hamzad or jin ki quwaton or qudrat me bhi bahot farq hain maslan, jinaat ki raftar hamzad se intihai kam hoti he Allah ne unhain parwaz ki taqat ataa ki he magar Hamzad khayal ki raftar se safar karta he yeni waqt or fasla uskay agay be meni hain. ek or farq hamzad or jinaat me ye he ke jinaat ko Allah ne bahot lambi lambi umrain ataa ki magar un keliy mot or bimari bhi beda ki. Hamzad in chizon se mubra he. jinaat ki shadian hoti hain wo aulad peda karty hain jabke hamzad kisi tarah se bhi milap nahin kar sakta or ye rooh or maada ka ek buniadi farq he. or ek bara or ehm farq ye he ke jin bas kuch khas janwaron ka roop dhar saktay hain jiski unhain qudrat hasil he maslan shair, kuta, bakri waghera or hamzad kisi bhi chiz ka roop le sakta he lekin farq ye he ka hamzad ka roop mehz basri hota he yeni ke ankhon ka dhoka jabke jin infact usi chiz me transform ho jaty hain or koi insan unhain choo bhi sakta he, hata ke jin or insan ka nikah bhi hota he or even ke agay nasal bhi chalti he. Ap (S.A.W.W) ne esay nikah ko makrooh qarar dia he or imam ibn e Timia ka bhi yahi qol he.yeni mard jin kisi insan orat se ya ya koi insan mard kisi jin zadi se nikah kar sakta he, isi liy ap ko pari hazir karnay ke amliat nazar atay hain or khas tor pe hinduon ke amliat jantar mantar ke jin me jo pari waghera zahir hoti he wo nikah ki shart aid karti he. yeni jin rooh nahin hain wo maada se takhliq huy jabke hamzad ek rooh he jisay explain karna bahot mushkil he. jinnaat ka kisi or chiz me transform ho jana bilkul esay hi he jesy Joule Thomson Effect me gas transforms into liquid under pressure. aam istimal me any wala lighter isi joule thomson effect ki practical misal he. jinaat hameha hamzad se ulajhnay se katraty hain qk hamzad keliy mot nahin or wo akela kai jinon ki mot ka bais ban jata he tabhi amil e hamzad ko amil e jinaat pe foqiat o fazilat hasil hoti he. jin baz oqat amil ko jhooti khabar bhi day jaty hain jabke hamzad esa nahin karta. jin ghulami me anay ke bad is ghulami ko sakht na pasand karty hain khas tor pe jab unhain talab kia jata he qk unki apni zingi he apna khandan bivi bachay khana pina shadi biyah or ye sab kuch chor ke unhain hazir hona parta he jabke Hamzad hamesh insan ke sath mojood hota he jab amil pukarta he foran aan mojood hota he. or jab amil usay kehta he k ab tum chalay jao tab bhi wo bas nazron se ojhal ho jata he jabke mojood wahin rehta he. umid kart hoon ke is post ke parhnay ke bad hamzad , rooh, mada or jin me jo farq hian wo ainda apkay zehn me uljhan nahin peda karain ge or ap Hamzad ki asal haqiqat bhi samjh gay hon ge ke wo he kia...

No comments:

Post a Comment